tanha fasana

tanha fasana

a poem i wrote

tu kya jaane, dil ke andheron mein kya bhatak raha hoon main,
khud ki hi saanson ka bojh bankar, khud ko hi daba raha hoon main.
logon ke beech bhi tanha,
ghar ki deewaron tak mehdood.
darr itna gehra hai ki
mohabbat ka khayal bhi lagta hai jurm-e-khudsooz.
dostiyon mein bhi aksar lagta hai ki
main bas waqt ka khaali kona hoon.
jab zaroorat ho tab yaad aata,
phir hawa jaise udd jaata hoon.
mohabbat ka naam sunte hi
seene mein ek thandi si haay utar jaati hai,
jaise kismat keh deti ho
ki tere hisse ki chaandni kisi aur raat rakhi jaati hai.
khud ko pyaar karna mushkil,
aur ghairon ko dil de baithna aadat.
dil ka yeh dard bhi ajeeb.
aakhir kab tak sehunga yeh ibadat.
main khud ko mehmaan samajh kar jeeta hoon,
is duniya ki mehfil mein gawaar sa lagta hoon.
kabhi kisi ki aankhon mein manzil dhoondhta hoon,
kabhi apni hi zindagi mein awaara sa lagta hoon.
haan, main hi woh ladka hoon
jo raat ki khamoshiyon mein toot kar bhi
subah ek jhooti si muskaan pehen leta hai.
duniya samajh leti hai ki main theek hoon.
par dil jaanta hai
ki yeh theek hona ek afsana hai.
ek chhupa hua dard, ek dabaa hua sach.
ek aawara sa, tanha fasana hai.
bas itna samajh le:
main toot kar bhi sachcha hoon,
darr kar bhi zinda hoon,
aur tanha ho kar bhi kisi ka hone ki khwahish rakhta hoon.

back to the writing room